У нас вы можете посмотреть бесплатно Vaginal Fistula क्या है? जाने इसके होने के कारण, लक्षण और उपचार | Dr Akta | Tata 1mg или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Vaginal Fistula क्या है? जाने इसके होने के कारण, लक्षण और उपचार Vagina se urine ya stool leakage ka problem kayi mahilaon mai dekhne ko milta hai. Yeh samasya vaginal fistula ki wajah se hoti hai. Isko sahi samay par diagnose karna aur treat karna bahut zaroori hai. Aaj is video mein hum Dr Akta ke saath discuss karenge vaginal fistula kya hota hai, iske kya karan aur lakshan hote hain, isko kaise diagnose kiya ja sakta hai, aur iske liye kya treatment options available hain. 00:43 - Vaginal Fistula kya hai? 01:20 - Vaginal Fistula ke kya types hain? 02:36 - Vaginal Fistula ke kya Symptoms hai? 04:22 - Vaginal Fistula Diagnosis 05:50 - Vaginal Fistula ke kya ilaj hai? Sabse pehle jante hai:- ** What is Vaginal Vistula? ** Vaginal fistula ek tunnel-like unusual opening hai jo ki vaginal walls mein develop ho jaati hai. Vagina female reproductive system mein cervix ko vulva se connect karta hai. Cervix uterus ke mouth ko kehte hain, and outer female genitals ko vulva kehte hain. Vaginal fistula opens between vagina and an organ in the urinary system and digestive system. Vaginal wall mein kisi bhi tarah ke tissue damage ki wajah se hole create ho sakta hai. By creating vaginal fistula, ab hum baat karenge types of vaginal fistula. ** What are the Types of Vaginal fistula? ** Vaginal fistula kai types ka ho sakta hai depending upon ki ye urinary system ya digestive system ke kaun se organ mein open ho raha hai. Sabse pehle hum baat karenge fistula between vagina and urinary system. Vaginal Fistula: Yeh sabse common type ka fistula hota hai jo ki bladder aur vagina ke beech mein open hota hai. Second type hai ureterosigmoidostomy, urethra and vagina ke beech ka opening ko kehte hain. Ab hum baat karenge fistula between vagina and digestive system. Rectovaginal Fistula: Is fistula mein opening hota hai between vagina and rectum. Rectum large intestine ke lower part ko kehte hain, which carries stool out of the body. Second type is colovaginal fistula, jo ki open hota hai between vagina and large intestine. Aur Third type hai enterovaginal fistula, aur is type ke fistula mein opening hoti hai between vagina and small intestine. What are the Symptoms of Vaginal Fistula? Vaginal fistula usually pain nahi karta, lekin iski wajah se kuch problems aa sakti hain jaise ki agar kisi ko vesicovaginal fistula hai, to is condition mein urine bladder se hokar vagina ke through leak hoga. Aur is condition ko urinary incontinence kehte hain, jisme urine par control nahi rehta. Vaginal fistula ki wajah se vagina mein infection ho sakta hai, jiski wajah se painful intercourse ki shikayat bhi ho sakti hai. Iske alawa chronic urine odor aur constant urine leakage ki bhi shikayat ho sakti hai. Ab hum baat karenge ki fistula jo ki vagina and digestive system mein open hote hain, unki wajah se kya lakshan ho sakte hain. Abdominal pain, nausea, unexpected weight loss, foul smelling vaginal discharge, feel incontinent. Is condition mein gas pass aur stool vagina se leak ho jaate hain. What are the Causes of Vaginal fistula? Vaginal fistula ke bahut se causes ho sakte hain, jaise ki :- 1. Difficult and prolonged labor, 2. Childbirth after a cesarean section or after hysterectomy. 3. Infection, normal delivery ke baad episiotomy ya vaginal tear mein infection hone ki wajah se bhi vaginal fistula ho sakta hai. Domestic injury, inflammatory bowel disease like Crohn's disease and diverticulitis, pelvic cervical and colon cancer, and radiation treatment bhi in causes mein include hote hain. In reasons ki wajah se vaginal fistula develop ho sakta hai. ** Tests to Diagnose Vaginal Fistula! ** 1. Dye test 2. Cystoscopy. 3. Retrograde pyelogram. 4. Sigmoid Speed. 5. Pelvic MRI 6. CT urogram: Vaginal Fistula ko kaise treat kiya jata hai? Vaginal fistula ko treat karne ke liye sabse pehle underlying condition ko treat kiya jata hai, jaise ki infection ko treat karne ke liye antibiotics di jaati hain aur inflammatory bowel disease ko treat karne ke liye medications ka use kiya jata hai. ** Surgery to Treat Vaginal Fistula ** Surgery ke liye various options available hote hain, depending on the size and location of the fistula. Fistula ko close karne ke liye surgery ka use kiya jata hai. Surgical options mein fistula ko repair karne ka option hota hai, jise transvaginal, transabdominal, or laparoscopic approach se kiya ja sakta hai. Fistula repair surgery ke baad patient ko kuch samay tak rest aur care ki zarurat hoti hai, taki surgery site heal ho sake. Post-surgery care mein infection se bachav ke liye antibiotics diye jaate hain, aur patient ko proper hygiene maintain karna chahiye. Thank you for watching! Subscribe to our channel for more videos and get an answer to your queries: http://bit.ly/Subscribe_1mg Connect with us on:- To consult a specialist doctor http://bit.ly/2PwD6QA Facebook: / 1mgofficial Visit our website at https://bit.ly/2Zvv7JX