У нас вы можете посмотреть бесплатно Aahista Aahista | Urdu Classic Ghazal | Lyrics by Qamar Malal или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Urdu classic Ghazal "Udheli Jab Piyaalay Mein Sharab Aahista Aahista" by poet Qamar Malal Ghazal Lyrics: Undheli Jab Piyaalay Mein Sharab Aahista Aahista... Lyrics by: Qamar Malal Audio & Video by: Jibran Lasi Undheli jab pyaalay mein sharaab, aahista, aahista Tabiyat ka hua khaana kharaab, aahista, aahista Mujhe ik shakhs ko paanay ki jaldi thi bohat lekin Kiya mujh ko Khuda ne kaamyaab, aahista, aahista Lab o rukhsaar ka har baab adaq apni jagah par hai Parha karte hain chehron ki kitaab, aahista, aahista Sunehray rang ki poshish mein woh angraaiyaan us ki Ke paimanay mein jo chhalkey sharaab, aahista, aahista Surur-e-bekhudi barhnay ko, thehraao zaroori hai Baja, ae mutribah! chang wa rabab, aahista, aahista Haseen woh is qadar hai jab tasawwur mein bhi aa jaaye Hamare moonh se girta hai luaab, aahista, aahista Jakar lete ho foran mujh ko mamooli si ghalti par Magar karte ho apna ehtisaab, aahista, aahista Qamar, zalim ki quwwat tootne mein waqt lagta hai Ke aatay hain jahan mein inqilab, aahista, aahista Undheli jab pyaalay mein sharaab, aahista, aahista Tabiyat ka hua khaana kharaab, aahista, aahista #UrduGhazal #QamarMalal #ClassicGhazal #HindiGhazal #SadGhazal #EmotionalGhazal #NewGhazal #Aahista #sharab