У нас вы можете посмотреть бесплатно more angna moinuddin aayo re l Junaid Sultani l qawwali 2025 ll Jhalawar URS ll или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Songs - more angna moinuddin aayo re Artist - Junaid sultani Album - MMS qawwali Location - Hajrat Roshan Ali Shah R. A. Urf Kale Shah BaBa Jhalawar Rajasthan अगर आप भी अपने शहर या गांव के उर्स आपके अपने चैनल "MMS qawwali" पर देखना चाहते हैं तो विडियो में दिए गए नम्बर पर कॉल कर हमसे संपर्क करें #MMSqawwali #khuwjaGaribNawajQawwali #junaidsultani #AshrafiAstana #Qawwali #daguirs2023 #SufiQawwali Aayo ri Aayo Ri More Angana Moinuddin .. Aayo Ri More Angana Moinuddin .. Aayo Ri Aayo, Sakhi Aayo Ri Aayo More Bhaag Jagaayo More Angana Moinuddin .. Aayo Ri More Angana Moinuddin.. Aayo Ri More Añgna Añgna … More Añgna Añgna .. More Khwaja Ji Añgan, Añgna … Añgan, Añgna … Chishti Raaja .. Añgna Chisht Ke Raaja .. Añgna Aye Chisht Ke Raaja Añgna .. Aye Chisht Ke Raaja Añgna .. More Angana Moinuddin Aayo Ri Aao Re Chishtiyo Hori Khelo More Añgana Moinuddin .. Aayo Ri Aao Re Chishtiyo Hori Khelo More Angana Moinuddin .. Aayo Ri Meri musibaton ka kharidar hai khwaja Hum saare ghariboñ ka madagar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Aye kam-naseeb hind ke raja se maañg lo Qismat meiñ jo nahi hai wo Khwaja se maañg lo. Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Aañsu hamari aañkh se jis dam chhalak gaye Aisa karam hua ke muqaddar chamak gaye Khwaja Moinuddiñ ki sakhawat ajeeb hai Itna ataa kiya hame, gin gin ke thak gaye. Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Chaukhat hai unki phoote naseeboñ ke waste Bheje gaye hain Khwaja ghareeboñ ke waste. Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Mastane khud hi aate hain masti meiñ jhoomne Khawaja Moinuddin ki galiyoñ me ghoomne Adna sa ye namoona hai Khwaja ke ishq ka Paidal bhi log aate hain Choukhat ko choomne. Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Ham the gunahgar, bahishti bana diya Jis pe nigah daal di Chishti bana diya Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Chishti charagh jalata hai Khwaja ke desh meiñ Ghurbat meiñ kaun palta hai Khwaja ke desh meiñ Satta mein koyi aaye hameñ koyi gham nahi Khwaja ka raaj chalta hai Khwaja ke desh meiñ Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Shohrat Jo meri pahle thi do haath badh gayi Jab se karam hua meri auqaat badh gayi Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Apni Nisbat pe koi rang na chadhne deñge Phool to kya! koi patta na ukhadne deñge Wo mera daamne hasti na ujadne deñge Mere Khwaja mera kuchh bhi na bigadne denge Ho madadgar hai khwaja Ho madadgar hai khwaja Toofan meiñ bhi kashti salamat hi rahegi Us paar Muhammad ﷺ hain, Han… To is paar hain is paar hai Khwaja. Dushman ke aage jhuk nahi sakta kabhi wo sar Jis sar pe tere naam ki dastaar hai Khwaja. Naam-e-Mueen lete hi gham door ho gaye Kitna azeem naam asardar hai Khwaja. Ishq-e-Muinuddin mein bik jayega Junaid Mujh ko yaqeeñ hai mera kharidar hai khwaja.