У нас вы можете посмотреть бесплатно ZAM ZAM Biryani ki Recipe | Ghar pe Banayein Mazedar Biryani | или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Assalamualaikum and Eid Mubarak to all my lovely viewers! 🌙✨ Aaj ki video mein hum banaenge ek mazedaar aur lazeez Zam Zam Biryani, jo hai Farheen Food Journey ke ek khaas recipe ke saath! Eid ka mahaul hai aur kya behtar mauka ho sakta hai ek delicious biryani banane ka? Toh chaliye, shuru karte hain humare step-by-step recipe ke saath: Chicken Marination: 1 kg chicken ko saaf karke rakh lena hai. Usme 1 tbs adrak paste aur 1 tbs lehsun paste dalna hai. Fir add karna hai: 2 tbs dhaniya powder 1 tbs jeera powder 1 tbs garam masala 1/2 tbs haldi powder 2 tbs lal mirch powder 1 tbs Kashmiri lal mirch powder 1-2 tbs biryani masala (optional) 4 adrak ke slices, 1 tej patta, 1 chakri phool, 5-6 chhoti elaichi, aur 1 tbs jeera bhi dalna hai. 4 medium size tamatar ko chopped karke dalna hai. Ab usme 4 chhoti katori dahi, 4 hari mirch (chopped), thoda sa dhaniya aur pudina, 2 tbs namak, aur 6 tbs fried pyaaz dalna hai. Sab ko achhe se mix karke 45 minutes tak marinate kar lena hai. Basmati Rice Preparation: 1 kg Basmati rice ko 1 ghante ke liye bhigo dena hai. Keema Marination: 1/2 kg mutton keema mein dalna hai: 1 tbs adrak lehsun paste 1/2 tbs lal mirch powder 1/2 tbs Kashmiri lal mirch powder 1/2 tbs garam masala 1 tbs namak 2 tbs bread crumbs 1 tbs dhaniya powder 1/4 tbs haldi powder Thoda sa fried pyaaz aur adha nimbu ka ras bhi dalna hai. Sab ko achhe se mix karke balls bana lena hai aur fir medium-low flame par fry kar lena hai. Meat Preparation: Pressure cooker mein 1/2 kg mutton dalna hai. Usme 1 tbs adrak lehsun paste, 1/2 tbs namak, 1/2 tbs lal mirch powder, 1/2 tbs jeera powder, 1/2 tbs garam masala, 1/2 tbs kali mirch powder, 1/2 tbs chili flakes dalna hai. Thoda paani dalke 3 seeti bja dena hai medium flame par. Agar pani bacha ho toh high flame par bhoon lena hai. Biryani Assembling: Chawal ko paani mein ubaal lena hai khade masale ke saath. Fir chawal ko strain karke nikal lena hai. Ab marinated chicken mein chawal ko achhe se bichana hai. Desi ghee aur food color dalna hai. Fir mutton ko bhi bichana hai. Aloo, anda aur fried pyaaz ko bhi bichana hai. 4 medium size aloo ko cubes mein aur 3 uble hue ande ko bhi dalna hai. Dum Cooking: Heavy bottom tawa par vessel rakhna hai aur 10 minutes tak high flame par dum dena hai. Fir 20 minutes tak medium se kam flame par dum dena hai. Aakhir mein thoda sa rest dena hai aur humara yummy and delicious Zam Zam Biryani tayyar hai! Yeh tha aaj ka special recipe, Zam Zam Biryani! Eid ke mauke par apne gharwalon aur doston ke saath isko enjoy karein aur unki bhi Eid ko aur bhi khaas banayein. Agar aapko yeh recipe pasand aayi ho toh video ko like karein, share karein, aur hamare channel ko subscribe zarur karein Eid Mubarak! 🌟🍽️ Follow me on YouTube Channel / @farheenfoodjourney Follow me on Instagram / farheenfoodjourney Follow me on Facebook page / farheenfoodjourney your queries Zam Zam Biryani Recipe Delicious Biryani Cooking Homemade Zam Zam Biryani Easy Biryani Tutorial Flavorful Rice Dish Spicy Biryani Mix Traditional Biryani Biryani Making at Home Biryani with Mutton and Chicken Layered Biryani Technique Authentic Biryani Preparation Biryani Full Recipe zam zam biryani, biryani recipe, biryani, cooking, biryani zum zum, zum zum biryani, goat biryani, chicken biryani, egg biryani, zahm zahm biryani, kofta biryani, kofta rice, Indian recipes, pakistani recipes, urdu recipes, indian food, food,food blogger, food vlogs, street food, street food india, zam zam, zam zam biryani banane ka tarika, zam zam biryani bhopal, zam zam biryani mumbai, dinner ideas, eid special recipes, eid recipes, ramadan recipes #trending #youtube #viral #cooking #asmr #explore #india #fyp #fypシ #fypシ゚viral シ#food #foodchannel #cookingchannel #new#newvideo #comment #share #hyderabad ##tandoori #recipe #recommended #subscribe #support #subscribers #suggestion #video #viralvideo #vlog #explorepage #viralvideos #youtube #youtubevideos #youtubechannel #foodblogger #foodie #foodlover #foodstagram #indian #indianfood #indianyoutuber #world #worldfoodies #kitchen #easy #editing #edit#entertainment #editing #enjoy #cooking #homemade #foodie #foodlover #recipes #diet #healthylifestyle