У нас вы можете посмотреть бесплатно History of Hazrat Ilyas and jezebel | Mallika Isabel aur Hazrat Ilyas Ka Waqia | Prophet Stories или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
History of Hazrat Ilyas and jezebel | Mallika Isabel aur Hazrat Ilyas Ka Waqia | Prophet Stories Hazrat Sulaiman (A.S.) ke inteqal ke baad unki azeem saltanat toot phoot ka shikar ho gayi. Duniya mein fitna aur gumraahi phail gayi. Logon par goya Shaitan ka ghulba ho gaya tha. Deendar aur nek logon ka mazaq udaya jata tha. Samaria ka hukmaran bhi bohat zalim tha aur us ne kai ulama aur deendar logon ko qatl karwa diya. Jab burai apni inteha ko pohanch gayi to Allah Ta’ala ne Hazrat Ilyas (A.S.) ko insaniyat ki islah ke liye mab’ous farmaya. Us waqt Bani Israel par Badshah Ahab ki hukumat thi. Hazrat Ilyas (A.S.) ne apni qaum ko shirk se bachane ki poori koshish ki. Unhon ne logon ko Tyre ke but Baal ki ibadat se roka aur unhein samjhaya ke sirf ek Allah ki ibadat karo aur buraiyon se door raho. Lekin afsos ke log unki baat sunne ko tayyar na hue. Jab unki koshishon ka koi khaas natija na nikla to Hazrat Ilyas (A.S.) achanak badshah ke samne aaye aur use khabardar kiya ke tumhari saltanat par sakht qahat aur sookha nazil hoga. Hazrat Ilyas (A.S.) ko Damascus ke maghrib ki taraf rehne wali Baal ki qaum ki taraf bheja gaya tha. Unhon ne unhein Allah Ta’ala ki ibadat ki dawat di, jo Buzurg aur Jalal wala Parwardigar hai. Unhon ne zor diya ke log apne but Baal ki pooja chhor dein. Is daur mein Malika Jezebel ne apne shohar ke saath mil kar poore mulk mein Baal aur Asherah ki pooja ko aam kar diya tha. Yeh shirk itna phail gaya tha ke har taraf but parasti hone lagi thi. Aakhir Hazrat Ilyas (A.S.) ne un ke paighambaron ko Koh-e-Karmel (Mount Carmel) par muqablay ka challenge diya. Faisla yeh hona tha ke kaun sa mabood qurbani ko jalata hai — Allah ya Baal. Baal ke pujariyon ne bohat cheekh pukar ki, apne aap ko zakhmi bhi kiya, lekin un ka mabood qurbani ko na jala saka. Jab ke Hazrat Ilyas (A.S.) ne Allah se dua ki to Allah Ta’ala ne aasman se aag bhej di jis ne qurbani ko jala diya. Yeh manzar dekh kar Bani Israel par haq wazeh ho gaya ke asal mabood sirf Allah hai. Is ke baad Hazrat Ilyas (A.S.) ne logon ko hukm diya ke Baal aur Asherah ke jhoote nabi aur pujariyon ko pakar lo, aur unhein Darya Kishon ke kinare qatl kar diya gaya. Yeh waqia is baat ki wazeh daleel hai ke Allah hamesha haq ko ghalib karta hai aur shirk o but parasti ko ruswa karta hai۔ #daniyalvoice #history #hazratilyas #islamicstories #prophetilyas #queenjezebel #islamicstoriesinurduandhindi #qasasulanbiya #islamicvideo #quranicstories #elijah