У нас вы можете посмотреть бесплатно Marsiya Ameer Muslim (Complete) | Yasir Ali Raza или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Marsiya Titile: Watan se chut kay koi Khasta jaan shaheed na ho Marsiya janab e Ameer Muslim (A.S) Recited By: Yasir Ali Raza Audio & Mixing: MK Audio Lab Video: YAR Studio Lahore #marsiya #muslimbinaqeel #ameermuslim #mkaudiolab #salam Lyrics of Marsiya: Watan se chut kay koi khasta jaan shaheed na ho koi musafir e be khaniman shaheed na ho kisi kay ghar pe koi mehmaan shaheed na ho shaheed ho tou wo tishna dahan shaheed na ho safar mein mout ka aana bari shahadat hai jo lash dafan na ho aur bhi qayamat hai Muqeem e khaana e haani thy Muslim e pur gham usy bhi qatl kia zalimon ne haye sitam yeh inqelaab yeh rang e do rangi e aalam amaan ki fikr me dar dar phiry safeer e haram barhi jo piyas bohat tharthara kay beth gye qareeb e shab dar e to'wa pe aa kay beth gye Makaan se nikli jo to'wa tou boli ghabra kar kay aap kon hain bethy hain kis liye dar per dabi zaban se kahan ik ghareeb hun Khwahar pila day aab mujhy behr e saaqi e kousar yeh sun kay nazr e imaam e inaam le aai sehan me ja kay wo paani ka jaam le aai wo aab pi kay bhi uthy na jab tou us ne kaha kay paani pe chukay ab ghar ko jao behr e khuda aseer karny ko muslim kay phirty hain aada ayaal fikr mein hun ge kay reh gye kis jaa ghazab hai phir jo ghareebon kay dil ko kalna pary talaash me koi bibi kahein nikal na pary yeh sun aah bhari aur kaha ba deeda e tar na bethty tery dar pe kahein jo hota ghar kahan ayaal jinhein fikr ho gi aye khwahar yahan behan hai na bhai na zoja o dukhtar na jaany wo bhi yunhi gham mein hain kay chain se hain Hussain ham se Juda ham juda Hussain se hain yeh naam sun kay pukari wo aashiq e Zahra Hussain aap kay kia hain? kaha mery Moula wo boli naam o nasab kuch bataye main fida kaha kay mard e ghareeb ul watan ka naam hi kiya watan wohi hai jahan Ahl e Bait rehty hain Mujhy Hussain ka adna Ghulaam kehty hain Yeh sun kay us ne tarap kar kaha ba shiddat e gham yeh khaaksaar bhi hai ik kaneez e shah e umam chupao mujh se na Lillah haal e dard o alam batao naam tumhein Jaan e Fatimah ki qasam kaha haram se jo choota wo be naseeb hun main wakeel Sibt e Nabi Muslim e Ghareeb hun main Yeh naam sunty hi qadmon pe wo giri ro kar kaha fida ho Ghulam aye Aqeel kay dilbar Huzoor naib e Shabeer thy na thi yeh khabar Kaneez Ghar me rahi aap yun phiry dar dar Bas ab na sadma e ghurbat uthaye Moula Ghareeb khany ki Izzat barhaye Moula Yeh sun kay aap uthy aur duaein de kay kaha kareem is ki jaza de tujhy Kaneez e Khuda wo ghar me lai jo in ko basad khaloos o wila wahan bhi chain se qismat ne bethny na dia kati wo raat jo Shabeer kay fidai ki sahan ko fouj e sitamgaar ne charhai ki wo shor o shar jo suna uthy Muslim e na chaar kaha Rizan bi Qaza aur khainch li talwaar qareeb dar kay jo aya wo safdar o jarrar qadam se to'wa e bekas lipat gai ik baar kaha hazaron se tanha na karzaar karo mujhy batool se wari na sharmsaar karo wo boly sab kay aye aashiq e Ali o Batool main tujh se shaad hun khushnood hain khuda o Rasool na ab ruky ga kisi tarha yeh hazeen o malool Husaam khainch kay rokein nahi yeh apna asool yeh keh kay ran pe charhy qatl e aam kar kay phiry najaf ko mur kay Ali ko salam kar kay phiry Kisi tarha na daba jab yeh saani e Abbas Udu ne makr se khoda kunwan ba hasrat o yaas chupa kay phir khas o khashaak me basad vaswaas dagha sey ghair kay laye jari ko chah kay paas barha qadam tou luty ahl e bait haye ghazab kunwein mein gir gye ghory samait haye ghazab sata chuky jo musafir ko baani e bedaad rasan me bandh kay lay aye paish e ibn e ziyad ghazab ki piyaas se tha jaan balab jo yeh na shaad kisi se paani ka talib hoa khajista nehaad wahan bhi saath dia tha janab e to'wa ne shitaab paish kia jaam e aab To'wa ne zameen pe beth kay phir ibn e saad se yeh kaha wasiyatein meri sun le khari hai sar pe qaza libaas o taigh o zara baich kar bara e khuda jo kuch mily wo mery qarz khwah ko dena yeh khasta haal kata kar gala jo so jaye bara karam ho agar lash dafn ho jaye manga de khaama o qirtaas behr e Rab e Inaam likhy ga Shah ko tasleem aakhri yeh ghulam wo khat kay likhny ka samaan aa gya jo tamam laho se apny likha aye Batool kay gulfaam ajeeb haal me yeh bekaso Musafir hai haroof e khat se zamany ka rung zahir hai ziyada likh nahi likh sakta yeh bekaso muztar na layein kofy mein tashreef shah e jinn o bashar talab kia hai dagha se udo ne aye Sarwar tamam karta hun ab khat kay kinch gya khanjar faqat yeh gham hai k Moula ko Parh kay gham ho ga qalam ko rakhta hun ab main kay sar qalam ho ga ravaravi mein wasiyat bhi likh dun ik dam e yaas k meri zoja e bekas hai khwahar e Abbas sifarish un se karein badshah qadr shinaas ghareeb bewa ko taskeen day wo naik asaas mery yateemon ko shafqat se paal lein Abbas mery luty hoye ghar ko sambhaal lein Abbas jhuky wo ishq k sajday mein muslim e deendaar chala wo halq k bosy ko khanjar e khoon khaar pari wo kofy me tamheed e karbala ik baar hily batool k nouhy se wo dar o dewaar tarap raha ha tan e paash paash haye ghazab zameen pe phaink di Muslim ki Lash Haye Ghazab