У нас вы можете посмотреть бесплатно qawwali program mahfil a Sama khanqahi Kalam 2021 jasne Eid miladun Nabi или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Maula Ali [a.s] ❤️ Badr Me Aaya To Fateh Badr Kehlaya, Ohud Me Aaya To Nasir e Rasool Kehlaya, Khayber Me Aaya To Shahe La Fatah Kehlaya, Khandaq Me Aaya Kul e Imaan Kehlaya, Mubahila Me Aaya Nafs e Rasool Kehlaya, Tathir Ki Chadar Me Aaya Waris e Tathir Kehlaya, Quran Parha Nukta e Bismillah Kehlaya, Mehrab Mey Aaya To Imam e Do Jaha Kehlaya, Buto Ko Bahar Nikala To Butshikan Kehlaya, Aankh Khuli To Ainullah Kehlaya, Hath Uthaya To Yadullah Kehlaya, Chehra Dikhaya To Wajhullah Kehlaya, Guftagu Ki To Lisanullah Kehlaya, Takht Par Aaya To Amirul Momineen Kehlaya, Takht Thukrakar Khaak Par Betha To Abu Turab Kehlaya... ❤️ Saiyedna Maula Ali Alayhis Salam Ke Daur Me Kufa Me Ek Shakhs 4 Ajeeb Or Gareeb Bate Kehta Phirta Tha 1) Mai Allah Ki Rahmat Se Bhagta Hu 2) Mai Bagair Zibah Kiya Huwa Gosht Khata Hu 3) Mai Bagair Dekhe Gawahi Deta Hu 4) Mai Fitno Ko Pasnd Karta Hu Log Uski Ye Baate Sunkar Use Kehte- Are Kyo Tum Kufr Ke Raste Par Chal Pade Ho Kyo Apna Imaan Gawa'n Rahe Ho Toba Karo Warna Barbaad Ho Jaoge, Us Shakhs Ne Kaha Mai Kyo Toba Karu Mai To Sach Bayaan Kar Raha Hu Or Mai imaan Me Hi Hu. Log Tang Aakar Maula-E-Kayenat Imam Ali Alayhis Salam Ke Pass Aaye Or Pura Mamla Bataya, Jawab Me Maula Ali Alayhis Salam Ne Farmaya Wo Sach Hi To Keh Raha Hai Or Wo Imaan Me Hi Hai. Log Or Pareshan Huve Or Arz Kiya Maula Aap Keh Rahe Hai To Koi Baat Zaroor Hogi Zara Hum Kam Aqlon Ko Bhi Aap Samjhaye, Maula Ne Farmaya Theek Hai Uske Sawalaat Bolo Logo Ne Arz Kiya SAWAL(1) Mai Allah Ki Rehmat Se Bhagta Hu Maula Ne Jawab Diya-- Jab Barish Hoti Hai To Wo Bhagta Hai Kya Tum Log Nahi Bhagte.... Log Ek Dusre Ka Muh Dekhne Lage Sawal 2) Mai Bagair Zibah Kiya Huwa Gosht Khata Hu Maula Ne Jawaab Diya- Woh Machli khata Hai Kya Tum Nahi Khate Ho Log Hairaan Ho Gaye Sawal 3) Mai Bagair Dekhe Gawahi Deta Hu Maula Ne Jawab Diya- Usne Allah Ko Kahan Dekha Hai Kya Tum Ne Allah Ko Dekha Hai ? Kya Tum Gawahi Nahi Dete Log Or Hairat-Zada Ho Gaye Sawal 4) Mai Fitno Ko Pasand Karta Hu Maula Ne Jawab Diya- Wo Apne Maal Or Aulaad Ko Pasand Karta Hai Kya Tum Aisa Nahi Karte Bhool Gaye Ho Kya Maal Or Aulaad Fitna Hai Logo Ke Hosh Ud Gaye Or Arz Kiya Maula Aap Waqayi Babul Ilm Hai Aaap Jaisa Ilm Allah Wa Rasool Sallallahu Ta'ala Alayhi Wa'Sallam Ke Baad Kisi Ke Paas Nahi...... Haq Ali Moula.... (Alihi Assalam) ya khuda jism mein jab tak ye mere jaan rahe tujpe sadqe tere mahboob pe qurban rahe kuchh rahe ya na rahe par ye dua ke amir niza ke waqt salamat mera iman rahe tazim se leta hai khuda naam e mohammad kya naam hai salleallah naam e mohammad allah kare uspe haram atise dojakh jis sakhs ke ho dil pe likha naam e mohammad jis dil mein mohammad ki mohabbat nahi hoti usper kabhi allah ki rahmat nahi hoti mera ye aqida hai agar zikre khuda mein ye naam na shamil ho ibadat nahi hoti rab ne farmaya meri qudrat ki haq koi nahi aur mere mahboob ki rahmat ki had koi nahi jab malak samjhe nahi to aadmi samjhega kya aamina ke lal ki ajmat ki had koi nahi khuda ka noor tujhme hubahu hai khuda pinha magar tu rubaru hai teri ajmat ka andaza ho kisko khuda hai aur khuda ke baad tu hai SHAMSUDUHA BADRUDUJA teri badi TAUQIR hai.