У нас вы можете посмотреть бесплатно Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz BE PARDA NA HO JAYE | Maan Sufi MUSIC |~ или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Maan Sufi MUSIC Kalaam: Hazrat Ameer e Sabri Qawwal: Zahid Ali Kashif Ali Mattay Khan Wafa taraaz wafa aashna bhi hote hain Dubone wale bhanwar nakhuda hote hain Hamari husn parasti pe aitraz na kar Sanam parat khuda aashna bhi hote hain Janab e Musa ko jakar ke ye khabar kar do Woh mehrbañ hi nahi hain khafa bhi hote hain Chadha do daar pe mujhko agar ghalat hun main Mera yaqeeñ hai ke bande khuda bhi hote hain. Aap thehre hain to thahra hai nizam e aalam Aap guzre hain to ik mauj e rawaañ guzri hai Gar che sau laakh gham e Hijr se jaañ guzri Magar jo dil pe guzarni thi kahan guzri hai Hosh me aaye to batlaye tera deewana Din kahan guzre hain aur raat kahan guzri hai Hashr ke baad bhi deewane tere poochhte hain Woh Qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai ! Zaahir ghame jaana ka asar hone na denge Royeñge magar Aankh bhi tar hone na denge Dekhenge sare bazm mohabbat se magar Mehsoos mohabbat ki nazar hone na denge Is daure hawadis mein bhi aye jaane baharañ Veerañ teri yaadoñ ka nagar hone na denge. Had e junuñ se aage guzarne lage hain hum Marne se peshtar hi marne lage haiñ hum Jal jaye jisko dekh ke dozakh ki aag bhi Daaman ko aisi aag se bharne lage hain hum Shayad ke koi zarra bhi un tak pahunch sake Ban ke jahan me khaak bikharne lage hain hum. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye Baat kah dooñ to baat jaati hai Chup rahuñ gar to raat jati hai. Wadiye najd se phir-kar jo hawa aati hai Aaj tak qais ke kehne ki sada aati hai. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Saari duniya mujhe kehti tera saudayi hai Ab mera hosh mein aana teri ruswayi hai. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Ye tai hua ke tujhe hashr tak bhulana nahi Hai iltamaas ke ay hashr tujh ko aana nahi. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye Kya husn e ittifak hai ke unki gali me hum Ik kaam se gaye the, ab har kaam se gaye. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye Zabt karta Hooñ to ghuTta hai qafas me mera dum Aah karta hooñ to sayyad khafa hota hai. Sanbhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye Aah karta Hooñ to har zakhm lahu deta hai Naala karta hoon to andesha e ruswayi hai. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Na tum aaye shab e waada pareeshañ raat bhar rakha Diya ummeed ka maine jalaaye taa sahar rakha Koi us taair e majboor ki bechargi dekhe Qafas me bhi jise sayyad ne be baal o par rakha. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Kuchh yaad karke aankhon se aansoo nikal pade Muddat ke baad guzre jo unki gali se hum. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Majboor hoke khoon e jigar pee rahe hain hum Be kaif zindagi hai magar ji rahe hain hum. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Zindagi mein do hi lamhe mujh pe guzre hain kathin Ik tere aane se pahle ik tere jaane ke baad. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye.. Sambhal Aye Dil Kisi Ka Raaz Be Parda Na Ho Jaye Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye. Sahra mein koi door se bocha jo utha Qais samjha meri Laila ki sawari aayi. Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye. Aisa gum hoon teri yaadon ke biyabanoñ mein Dil na dhadke to sunayi nahi deta kuchh bhi. Ye Deewanoñ Ki Mehfil Hai Koi Ruswa Na Ho Jaye. Dikha Doonga Zamane Ko Tamasha Apni Wahshat Ka Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye. Dar lagda sajan na rus javey Nayi te tera harsh hila dewa. Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye. Raaz ko raaz hi rahne de teri azmat ba khair Warna apne aap ko bhi sajda kar sakta hoon Maiñ. Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye. Butkada mein kiye jo sajde mera qusoor nahi Tum ne kab kaha hai ke Maiñ yahañ maujood nahin. Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye. Har baat mein mujhi ko na thehra kusoorwar Tu bhi to mere saath tha shamil jagah jagah. Magar Hai Baat Itni Yaar Tu Ruswa Na Ho Jaye. Wo Shayad Is Liye Aate Nahi Gor e Gharibañ Par Kahin Thokar Na Lag Jaye Kuy Zinda Na Ho Jaye.