У нас вы можете посмотреть бесплатно Kya Shukracharya ji sahi me galat the? || Unsung Hero || Phir Kya hua EP13 || Stories With Akshit или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Namaste Dosto, humare Phir Kya Hua ke 13th episode me hum Shukracharya ji ke baare me jaanenge. On Screen: Akshit Sharma Instagram: / a.kshitsharma Kurukshetra ke yudh ke 17ve din Ang desh ke raja aur daanveer “Karan” ka shav zameen pe pada hua tha. Lekin ye sirf Arjun ke vaan ka hi kamaal nahi tha. Iske piche niyati ki ek achi khaasi sochi samjhi bhuni hui saazish thi. Paristhitiya aisi bani ki paida hote hi apni hi maa se door hona pada, aur bade hone par apne hi guru se unki sikhai gayi seeksha ko bhool jaane ka shraap mil gaya. Agli subah jab sabse bada yudh hone waala tha tab apne pita ke diye gaye kavach aur kundal ko apne jism se cheer kar daan me dena pada. Karan ko poori har mod pe “tiraskar” jhelna pada. Tiraskar…. Vo bhav hai jo ek vyakti ki iss jagat se har asha ko todd de…. Aur yahi tiraskar kisi vyakti se vo bhi karwa deta hai jo iss jagat ki drishti me galat hota hai, kyuki smritiyon mein toh sadaiv sansar ka vo bhed bhav rehta hai… fir vo sahi ka sath de rha hai ya galat ka, kise dikhta h? Aur ye pehli baar nhi tha ki kisi ne tiraskar saha tha… apne Guru se, iss sansaar se… Aur na hi karn ko diya gya shrap kisi ko pehli baar diya gya tha… Purano ke panno me ek aur aise sishya ka naam bhi chupa hai jisse uske guru ne is liye padhane se inkaar kar diya tha kyuki veh baki sishyo se zada buddhiman tha. Aur vo balak tha Shukracharya… Yehi Shukracharya devtao ke guru ban ne ki jagah danavo ke guru bante hain. Lekin kyu? Kyu koi aise paksh ka sath dena chahega jo doosro ko kasht pahuchate hain? Aisi kya paristhiya thi jisne ek mahan “hero” ko ek “anti-hero” ban ne me majboor kar diya, Who was Shukracharya? Shukracharya danavo ke guru kyu bane? Shukracharya ko Mritsanjeevni mantra kaise mila? Ye Phir Kya Hua series ka 14th episode hai. Isme humne time travel aur hindu timeline ko ache tareeke se samjha hai. Kya aapko iske karan ke baare me pata tha? Niche comment section me comment karke zaroor bataiyega. 00:00 : Intro 01:59 : Part 1 (Vo Danavo ke guru kyu bane?) 04:23 : Part 2 (Unhe Mrit-sanjeevni mantra kaise mila?) 08:25 : Part 3 (Mrit-sanjeevni mantra milne ke baad kya hua?)