У нас вы можете посмотреть бесплатно UMME RABAB - HASHIM SISTERS NOHA 2017-18 - MUHARRAM 1439 или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
A unique noha on the mother of the 4 year old Bibi Sakina (sa) and the 6 month infant Hazrat Ali Asghar (as), the wife of Imam Hussain (as), Umme Rabab. Lyrics- Madare Asghar, Madare Sakina, Zaujae Hussain, Umme Rabab 1) Wafa Rabab ki bay misl hai zamaanay mein Jhalak ussi ki hai Asghar kay muskuraane mein Naseeb laaya unhe Hashimi gharaanay mein Shareek ho gayin Islam ko bachaanay mein Banaaya dasht ko gulzaar apne phoolon sey Khiraaj leyliya Allah kay Rasoolo sey Chorus 2) Hum auraton mein kahan apsi wafadaari Na hosla, na shujaa’at, na voh fidakaari Khuda kay deen pey jab waqt aagaya bhaari Sitam kay aagay magar maamta nahin haari Rabab apnay mujaahid ko bhej kar ran mein Shabab dey gayin deen e Khuda ko bachpan mein Chorus 3) Sunakay loriyon mein daastaan e Sher e Khuda Banaaya Asghar e Masoom ko jari aisa Banaakay nanha sipaahi yeh maamta ney kaha Lagay jo teer galay pey tou muskura dena Hussainiat ka bharam meray laal rakhna hai Quran e sabr ki tafseer tumko karna hai Chorus 4) Rabab teri wafadaarion ko laakhon Salaam Tamaam kargayin qurbaaniyan Hussain kay naam Zamaanay bhar kay khavateen ko diya payghaam Museebaton mein bhi ehd-e-wafa karo anjaam Hayaat dhoop mein gar, zeyr e asmaan rahey Hussainiat ka magar sar pey saaeyban rahey Chorus 5) Rabab jismay rahin voh makaan pyaara hai Sukhan Hussain ka is baat ka ishaara hai Paey jihaad jissay har sitam gaavara hai Khuda ussi sey hai raazi, voh hi humaara hai Jihaad e sabr mein faulaad ka jigar hain Rabab Baraaey Zainab o Kulsoom ik sipar hai Rabab Chorus 6) Rivaayaton mein hai, Bibi ki daastaan e wafa Kay jab nishaana koi patharon sey leta tha Yeh soch karke na zakhmi hon Zainab e Kubra Barhaakay apne hi maathay ko vaar rok liya Lahu lahaan hui patharon sey payshaani Bhulaayi jaa nahin sakti kabhi yeh qurbaani Chorus 7) Aey Bibi aapkay gham ko bayaan karoon kaisay Uthaaey daagh yateemo kay kis kaleyje sey Kabhi Sakina pey hotay huay sitam dekhay Balaaein li kabhi Asghar kay sar ki nezay sey Kabhi Jalay huay jhoolay ko yaad karti thi(n) Kabhi Hussain ki ghurbat pey aah bharti thi(n) Chorus 8) Nigaar aakhri saanson talak Rabab e hazeen Lagakay seenay se jhoolay ki lakriya roeen Na thanda paani piya aur na saaey mein baythi(n) Kabhi Sakina ki tanhaai par tarap uthi(n) Adeeya Saania Mahum, Rabab ka gham hai Bapa hai Noha o Matam Rabab ka gham hai Chorus Noha- Umme Rabab Reciters- Hashim Sisters Poet- Khursheed Nigar Album- 2017-18 Vol. 12