У нас вы можете посмотреть бесплатно Walid ki wafat par | On my father's death | Emotional Poetry by Nida Fazli | Rekhta Studio или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Apne walid ki wafat par Nida Fazli ki ek dil-soz nazm RJFahad ki aawaaz mein. A tribute to Nida Fazli on his Death Anniversary by Rekhta Studio. tumhaari qabr par main fatiha(prayers made on grave) paDhne nahin aaya mujhe malum tha tum mar nahin sakte tumhaari maut ki sachchi KHabar jis ne uDai thi wo jhuTa tha wo tum kab the koi sukha hua patta hawa se mil ke TuTa tha meri aankhen tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak main jo bhi dekhta hun sochta hun wo wahi hai jo tumhaari nek-nami aur bad-nami ki duniya thi kahin kuchh bhi nahin badla tumhaare hath meri ungliyon mein sans lete hain main likhne ke liye jab bhi qalam kaghaz uThata hun tumhein baiTha hua main apni hi kursi mein pata hun badan mein mere jitna bhi lahu hai wo tumhaari laghzishon(mistakes) nakaamiyon(unsucessful) ke sath bahta hai meri aawaz mein chhup kar tumhaara zehn rahta hai meri bimariyon(sickness) mein tum meri lachaariyon(helplessness) mein tum tumhaari qabr par jis ne tumhaara nam likha hai wo jhuTa hai tumhaari qabr mein main dafn hun tum mujh mein zinda ho kabhi fursat mile to fatiha paDhne chale aana ~Nida Fazli Listen this nazm in his own voice at Rekhta- • Walid ki Wafat par_Nazm by Nida Fazli... Video graphics & editing- Kiran Agarwal ------------------------------------------------------------------------- Connect with us - Visit the largest online resource for Urdu poetry and literature- https://www.rekhta.org Website : https://www.jashnerekhta.org Follow us on Social Media - Instagram : / rekhta_foun. . Facebook : / rekhtaofficial Twitter : / rekhta #RekhtaShayari #NidaFazli #EmotionalPoetry