У нас вы можете посмотреть бесплатно Signs And Symptoms Of Black Magic || Indications Of Kala Jadu || Kala Jadu ka tod или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Assalam o Alaikum Es video me Signs And Symptoms Of Black Magic, Indications Of Kala Jadu or Kala Jadu ka tod ko bayan kya gya hai. Jadu, hasad aur nazar-e-bad aisi haqeeqatein hain jinhein Quran ne bhi bayan kiya aur Nabi Kareem ﷺ ne unke asraat aur unka ilaj samjhaya. Aaj ke daur mein jab dilon se khauf-e-Khuda kam ho gaya aur hasad ki aag barh gayi, to yeh shetani hathiyaar pehle se zyada istemal hone lage. Lekin yaad rakho, jitna bara jadu ho, Allah ki qudrat us se kai guna bari hai. Woh dilon ke raaz janta hai, woh hi parday uthata hai aur zalim ko be-naqab kar deta hai. Isi liye ek mojarrab roohani amal hai jo Kashf-e-Haqeeqat ka amal kehlata hai. Agar lagta hai koi aap par jadu kar raha hai, ya aapki khushiyon ko nuksan pohcha raha hai, to isay azma sakte hain. Koi lambi tayari nahi, sirf niyyat saaf ho aur dil mein Allah par yaqeen ho. Raat ko sone se pehle wuzu karein, dil se har nafrat aur badlay ki niyyat ko nikal dein aur Allah se arz karein: Ya Allah! Agar mere khilaf koi shar hai to uski haqeeqat mujhe dikha de aur mujhe uske shar se mehfooz rakh. Phir aram se bistar par let kar yeh teen baar padhein: “Ya Noor, Ya Haqq, Ya Mubeen.” Ye Allah ke asma-e-mubarak hain – Ya Noor roshni hai jo andheron ko mita deti hai, Ya Haqq sach ko zahir karta hai aur Ya Mubeen chhupi hui haqeeqat ko samne la deta hai. Phir niyyat karein: Ya Allah! Jo bhi mere khilaf jadu ya shar kar raha hai, uska chehra mujhe khwab mein dikha de. Allah ke izn se aksar log isi raat ya chand dinon mein ishara ya chehra dekh lete hain. Magar yaad rahe, ye ilm badlay ke liye nahi, sirf hifazat aur ehtiyaat ke liye hai.