У нас вы можете посмотреть бесплатно एक ऐसा कलम जिसे आप बार बार सुन्ना पसंद करेंगे - Likha Hai Ek Zaifa Thi Naat | Nadeem Ahmed или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
एक ऐसा कलम जिसे आप बार बार सुन्ना पसंद करेंगे - Likha Hai Ek Zaifa Thi Naat | Rahe Islam SUBSCRIBE US Here 👉 http://bit.do/fHK3u ► Title :- Likha Hai Ek Zaifa Thi SOCIAL MEDIA DETAILS - ► Follow us on Twitter :- http://bit.do/fHK3D ► Like us on Facebook :- http://bit.do/fHK3z "If you like the video, Don't forget to Share and leave your comments" #RaheIslam #Naat #NewNaat wo sunti thi koi muhammed SAW hai hashim gharane me wo kehta hai khuda bas ek hai saare zamaane mein wo sunti thi hubul ki laat ki tazleel karta hai wo apne haq k paimane ki youn tameel karta hai wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulaam uska musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska likha hai wo zaifa ek din kaba mein ja pahunchi hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi mein tujhko pooojti hoon aur khuda bhi tujhko kehti hoon bada afsos hai aaj kal mein ranj sehti hoon wo gham ye hai muhammed SAW hai koi hasham gharane mein wo kehta hai khuda bas ek hai saare zamane mein mita do uski hasti ko mile tumko inaam uska jigar chalni hoa jata hai sun sunkar kalaam uska dua kar k uthi sajde se aur wo apne ghar aayi samjhti thi ye dil me ab meri ummeed bar aayi zaifa ko khushi thi ab hubul bijli gira dega muhammed SAW to muhammed SAW sathiyon ko bhi mita dega magar kuch din guzarne par na jab ummed bar aayi dua kar ke hubul se apne dil me khoob pachtai gharaz tarkeeb usne soch li ye khud hi ghar aa kar k chodongi ye basti mein rahongi aur kaheen ja kar gharaz ek din subah ko usne apne ek gathri li nikal ke apne ghar se aur darwaze par aa baithi zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai usko kya khabar rhi ke khuda ka rasool milta hai fariza subeh ka karke sarkare do aalam chale jate the kaba ki taraf wo rehmat e aalam Ujalo mein aap to shams o khamar maloom hote the paye tasleem sajde mein shajar maloom hote the zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrai yaka yak samne se chand si surat nazar aayi zaifa ne kaha baita yahan aana bata kya naam hai tera kaha mazdoor hoon amma bata kya kaam hai tera kaha mazdoor hai gar to chal gathri meri lekar mein khush kardongi aye mazdoor mazdoori teri dekar ye sunkar aapne gathri utha kar apne sar par li zaifonki madad karna ye aadat thi paighambar Prophet ki gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi kaha dil se ke aye dil ab teri ummed bar aayi kaha beta jo thi dil me tamanna ho gayi puri muhammed SAW to MUHAMMED SAW saathiyon se hi duri lagi dene jo mazdoori zaifa aapko us dam to farmane lage us dam huzur e sarware aalam ye koi kaam hai amman mein lon ab jiski mazdoori koi aur qidmat hai ti wo bhi mein karon puri ye farmate hoye ki aapne jane ki tayyari zaifa se ijazat chahte the rehmat e baari zaifa ne kaha baita zara thairo chale jana mujhe ek baat kehni hai zara sunkar chale jana yaqeen jano ke ab makkah mein jhagda hone wala hai mein samjhati hoon tujhko isliye to bhola bhala hai wo makkah mein khabeela hashmi naam o laqab wale wahi beta jo hain sardar abdul mutallib wale unheen mein ek jawan hain jo suna jata hai saher hai ke is fan mein magar beta wo apne khoob maheer hai wo sar hota hai jiske dil mein ulfat boo ke rehta hai jo sunta hai kalaam uska wo uska h ke rehta hai hamesha bach ke chalne usse bole koi naam uska nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam uska nabi budhiya ke dil mein wahdat bharne wale the nasihat sun rahe the jo nasihat karne wale the zaifa ne kaha baita bhala kya naam hai tera tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera kaha hazrat ne budhiya se tujhe kya naam batlaaon mein kya kaam batlaon mein kya anjaam batlaon mein banda hoon khuda ka aur mein rasool uska hoon kaha gardan jhuka kar aapne mein hi mohammed SAW hoon mein hoon masoom duniya mein mera dushman zamana hai khuda wahid hai aalam mein mujhe bas ye batana hai ye sunna tha ke bas aankhon se aansu ho gaye jaari nabi ke ishq ki ek chot ZAKHM se dil par lagi kaari zaifa ne kaha beta karo mushkil meri aasaan mein aisi the cheez ke sadqe mein aisi haar ki qurbaan hua phir haal bar uske jo fazle zeedni pai zaifa ki zubaan se khud bakhud hua kalma jari la ilaha illal-lah Muhammedur rasoolullah