У нас вы можете посмотреть бесплатно Salam || Shah Ne Kaha Bahen Se Yeh Karbala Hai Zainab (sa) || Lyrics || Zeya Jalalpuri или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Salam (Lyrics) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Mushtaq is zameen ka bhai tera hai Zainab (sa) Nana se main ne iska wada kiya hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Maa ka chaman yahin par barbad hoga khahar Soye ga sar kata kay kunba mera yahin par Bhai tera isi ki khatir chala hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Is sar zameen peh Zainab (sa) hum is taraf lutengay 6 maah kay bhi bachche zinda na bach saken gay Hoga wahi moqaddar main jo likha hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Pamaal hongay run main hum bekason kay lashe Tadpengay sare bachche jis dam jalengay khaime Tum ko yeh sub nigahon se dekhan hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Nana kay aur maa kay baba kay aur akhi kay Marne peh sabr Zainab (sa) jaise kiya hai tum ne Mujh ko bhi sabr karna yeh ilteja hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Jab guftagu Hussain o (as) Zainab (sa) main ho rahi thi Haye Hussain (as) kah kay ik bibi ro rahi thi Kahti thi sath tere yeh gham zada hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Sun kar sada bahen ne bhai se ro kay pucha Awaaz kis kay rone ki aarahi hai bhaiyya Farmaya shah ne ro kar maa ki sada hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Toota hua woh pahlu khud hathon se sambhale Us rooz se yeh dukhiya maa sath hai hamare Jis roz se madina hum se chuta hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Sun sun kay ro rahi thi thame bahen kaleja Zainab (sa) se jab ZAFAR yeh farma rahe thay maula Bachne ka to nahi ab kuch aasra hai Zainab (sa) Shah ne kaha bahen se yeh karbala hai Zainab (sa) Poet: Maulana Zafrul Hasan (Zafar Sahab Mustafabad Moqeem Gujraat) #salam #nauha #manqabat #qaseeda #Zeyajalalpuri #salam_ya_hussain #salam_ya_abbas