У нас вы можете посмотреть бесплатно Amu Tarana celeberating 100 years of AMU. UHMC & Fusion Club members- или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun Sar-shaar-e-nigah-e-nargis hun, paa-basta-e-gesu-e-sumbul hun (chaman: garden; bulbul: nightingale; sarshaar: overflowing, soaked; nigaah: sight; nargis: flower, Narcissus; paa-bastaa: embedded; gesuu: tresses; sumbul: a plant with a plesant scent) Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman Main apne chaman ka bulbul hun Jo taaq-e-haram mein roshan hai, wo shama yahan bhi jalti hai Is dasht ke goshe goshe se, ek joo-e-hayat ubalti hai Ye dasht-e-junoon deewanon ka, ye bazm-e-wafa parwanon ki Ye shahr-e-tarab roomanon ka, ye khuld-e-bareen armanon ki Fitrat ne sikhai hai ham ko, uftaad yahan parwaaz yahan Gaaye hain wafa ke geet yahan, chheda hai junoon ka saaz yahan (taaq-e-haram: a niche in the sacred Kaaba in Mecca; roshan: glowing; shamaa: candle; dasht: wilderness, desert; goshaa: corner; juu-e-hayaat: stream of life; junuuN: frenzy; bazm: gathering; vafaa: faithfulness; shahr-e-tarab: city of mirth; Khuld-e-bariiN: sublime paradise; armaan: hopes; fitrat: nature; uftaad: beginning of life; parvaaz: flight; saaz: song on an instrument) Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun Is bazm meiN taigheiN khencheen hain, is bazm meiN saghar tode hain Is bazm meiN aankh bichhai hai, is bazm meiN dil tak jode hain Har shaam hai shaam-e-Misr yahan, har shab hai shab-e-Sheeraz yahan Hai saare jahan ka soz yahan aur saare jahan ka saaz yahan Zarraat ka bosa lene ko, sau baar jhuka aakaash yahan Khud aankh se ham ne dekhi hai, batil ki shikast-e-faash yahan (teGh: sword; saGhar: goblet; shaam-e-Misr: evenings of Egpyt; shab-e-Sheeraz: nights of Sheeraz, a famous city of Iran; soz: pain; zarraat: dust particles; bosaa: kiss; baatil: evil; shikast-e-faash: clear defeat) Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman Main apne chaman ka bulbul hun Jo abr yahan se uthega, wo saare jahan par barsega Har joo-e-rawan par barsega, har koh-e-garan par barsega Har sard-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega Khud apne chaman par barsega, ghairon ke chaman par barsega Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega (abr: cloud; juu-e-ravaan: flowing streams; koh-e-garaaN: big mountains; sard-o-saman: open and shelter; dasht-o-daman: wild and subdued; qasr-e-tarab: citadel of joy) Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Barsegaa, Barsegaa, Barsegaaa... ~ Majaz Lakhnawi video shoot by Dr Mehboob Tabla. Dr s.r. Chishti Harmonium by jhony foster And whole Tarana Team. Regards Haider Saif.