У нас вы можете посмотреть бесплатно ISLMIC VIDEO или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
1. Jumma sab se afzal din hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jumma ka din dino ka sardar hai." "Is din Aadam ko paida kiya gaya, isi din Jannat mein dakhil kiya gaya, aur isi din unhen Jannat se nikala gaya." — Tirmidhi 2. Jumma ki namaz ko waqt se pehle ja kar ada karna Nabi ﷺ ne farmaya: "Jo shaks Jumma ke din ghusl karke sab se pehle masjid jaye, usay ek qurbani dene ke barabar ajr milta hai." — Bukhari & Muslim 3. Jumma ko durood ziyada bhejno Nabi ﷺ ne farmaya: "Jumma ke din mujh par durood ki kasrat kiya karo, kyun ke tumhara durood mujh tak pohnchaya jata hai." — Abu Dawood 4. Jumma ko ek qabooliyat ki ghadi hoti hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Jumma ke din ek aisi ghadi hoti hai jisme banda jo dua maangta hai, Allah usay zaroor qubool farmata hai." — Bukhari & Muslim (Aksar ulama ke mutabiq yeh ghadi Asr ke baad se Maghrib tak hoti hai.) 5. Jumma ko Surah Al-Kahf padhna Nabi ﷺ ne farmaya: "Jo Shaks Jumma ke din Surah Kahf padhta hai, uske liye ek Jumma se dusre Jumma tak Noor chamakta hai." — Hakim 6. Jumma ke din ghusl karna, safai aur ittar laga kar ana Nabi ﷺ ne farmaya: "Jis ne Jumma ke din ghusl kiya, sab se achi tarah safai ki, ittar lagaya, masjid ja kar do logon ke darmiyan fasal na daala, aur jitni namaz likhi gayi woh padhi… Allah uske is Jumma ke aur aane wale Jumma ke darmiyan sab gunahon ko maaf kar deta hai." — Bukhari SUBSCRIBES FOR MORE VIDEOS