У нас вы можете посмотреть бесплатно Ballad of Pehlu Khan/ पहलू ख़ान की दास्तान / پہلو خان کی داستان/ by Aamir Aziz или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
A Song By Aamir Aziz / आमिर अज़ीज़ / عامر عزیز lyrics: pehlu khan bichaare ik insaan the umr 55 rehne waale hindustan ke ik din ik bheed ke haathon noch noch khaye gaye mele se khareed kar gay (cow) the laane gaye pehlu peshe se dairy kisaan the bas khata itni si thi ke yahin paida hue aur musalmaan the lok anginat mauqe pe tab maujood the kuchh video banaane mein par mashgool the kuchh darr gaye kuchh aur andekha kiye kuchh khush hue kuchh naalatein bheja kiye aur baakiyon ko qatl ye maqbool tha ek to log the logon se dukhi khud se bhi pareshaan the pehlu marte marte 6 logon ka naam le gaye mera insaaf karna aakhri paigham de gaye police raat din tafteesh karne laggayi thaane ka chakkar kaat jamhuriyat thak gayi mulk aage badha aur log apne kaam pe gaye pehlu qatl hote logon ki fehrist mein mehez ik aur naam the report kehti hai maqa-e-wardaat pe mulzim koi bhi maujood nahi tha pehlu ka byan sach kare aisa koi bhi saboot nahi tha han qanoon ki apnibhi kuhh majburiyan hain zalim se qurbat mazloomon se duriyan hai begunaah koi bhi yahan hargiz mehfooz nahi tha log jaanwaron ke muhaafiz the aur sarhadon ke paasbaan the ab ye maamla adalat ke saamne pada hai aur katghare mein saara hindustaan khada hai han insaaf karna adaalaton ka farz hai wald-pehlu(pehlu's son) pe taskaree ka muqaddama darz hai sunte hain mulzim mantri ji ka khaas bada hai waise to katghare mein hum bhi aap bhi hain aur wazir-e-azam bhi hain pehlu khaan to bichare tadfeen ho gaye mitti mein mile milke zameen ho gaye jo zinda hain yahan unki haalat kharab hai tishnagi ko haasil sarab hai aur iss waqt jo main aapko pehlu ki daastaan gaa raha hun wahin se aaya hun main wapas qabristaan jaa raha hun uss veeran sarak pe ik dusra pehlu khaan khada hai aa rahi museebaton se bebas anjaan khada hai. / aamir.aziz.3785