У нас вы можете посмотреть бесплатно Badayun Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo Behron ka ilaka hai zara zor se bolo Aankho me hai kuch dil me hai kuch hontho pe kuch hai Yun bol rahe ho to kisi aur se bolo Dilli me hum hi bola kare amn ki boli Yaaron kabhi tum log bhi Lahore se bolo Is shahar ki kuch log jadein kaat rahe hain Ye baat agar hai mahapaur se bolo - Kabhi akele me milkar jhanjhod dunga use Jaha jaha se wo tuta hai jod dunga use Mujhe wo chhod gaya ye kamaal hai uska Irada maine kiya tha ke chhod dunga use Pasine bantta phirta hai har taraf suraj Kabhi jo hath laga to nichod dunga use Maza chakha ke hi mana hu main bhi duniya ko Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use Bacha ke rakhta hai khudko wo mujhse sheeshabadan Use ye darr hai ke main todfod dunga use - Khade hain mujhko kharidar dekhne ke liye Main ghar se nikla tha bazar dekhne ke liye Kataar me kai nabina log shamil hain Ameer e shahar ka darbar dekhne ke liye Hazaron baar hazaron ki samt dekhte hain Taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye Har ek harf se chingariyan nikalti hain Kaleja chahiye akhbar dekhne ke liye - Ye barf raate bhi bankar abhi dhuan ud jaye Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye Bahot guroor hai dariya ko apne hone par Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye Hawayein baaz kaha aati hai shararat se Saro pe hath na rakhein to pagdiyan ud jaye Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye - Khushk dariyaon me halki si rawani aur hai Ret ke niche abhi thoda sa pani aur hai Ek kahaani khatm karke wo bahot hai mutmayin Bhool baitha hai ke aage ek kahaani aur hai Boriye par baithiye kulhad me pani pijiye Hum qalandar hain hamari mezbani aur hai Jo bhi milta hai use apna samajh leta hu main Ek bimari mujhe ye khandani aur hai - Sabko ruswa baari baari kiya karo Har mausam me fatwe jaari kiya karo Roz wahi ek koshish zinda rehne ki Marne ki bhi kuch tayyari kiya kari Chaand zyada roshan hai to rehne do Jugnu bhaiyya ji mat bhari kiya karo - Bulati hai magar jane ka nai Ye duniya hai idhar jane ka nai #RahatIndori #rahatkishayari