У нас вы можете посмотреть бесплатно MERE AKBAR KO KAHIN DEKHA HAI | Mesum Abbas Nohay 2022 | Hazrat Ali Akbar Noha | Salman Azmi или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Listen to Mesum o Salman ♥️ after 4 years MERE AKBAR KO KAHIN DEKHA HAI! Jab bhi Salman aur Mesum kay naam sath me atay hain to sun’nay walo ko andaza hota ha kay koi aisa nauha sun’nay ko milay ga jis me masyab e Al e Muhammad kay mukhtalif pehlu sun’nay ko milein gy jese JABIR a.s , SHAIR E FIZZA s.a , ZAFAR E JIN .. 4 Saal honay ko aye hain mein Salman Azmi ka koi Nauha na parh saka aur uski wajah shayad yeh ha kay mujhse parha hi na jata kyuky jab Salman ki bat hoti ha mera zabt tutnay lagta ha ek arsay bad mujhe khayal aya kay Salman ka likha hua Mola Ali Akbar a.s ka nauha parhna chahiye Imam e Hussain a.s kay jawan kay agay humaray jawan ka ghum buhat chota ha kisi tarha mene khud pe qaboo rakh kar is nauhay ki audio mukamal ki lakin jo kaifiyat video k waqt hui woh naqabil e bayan hai mere liye video me nauha parhna mushkil hougaya Safdar Kaleem camera chalatay hue ro raha tha Arsalan se nauhay k misre bolay nahi ja rahy thy ek Qayamat ka saa mahool tha Maul a.s kisi ko jawan maut ka dagh na dy .. yeh Hussain ibn e Ali a.s ka hi hosla tha kay woh akbar jese jawan ki mayat bhi tanha utha laye or yeh hi woh ghum ha jo hume bhi ghumo me hosla deta ha .. Ap lougo ki samaat ki nazar kar raha hun yeh nauha Zarur suniye ga or Salman Azmi kay liye Fatiha parhiye ga .. Mohtaj e Dua : Mesum Abbas Hit LIKE NOW and SHARE Before the Noha Premieres! Most IMPORTANTLY: Iltimase Dua #MEREAKBARKO #MesumAbbas #Nohay2022 Please Support Our Efforts & Subscribe to this Channel: http://bit.ly/MesumAbbasOfficial LYRICS: POSTED BELOW... AZADARI RAHEGI | TITLE NOHA 2022 👉 • AZADARI RAHEGI | Mesum Abbas 2022 | K... Noha Credits: 👉Title Noha: Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai 👉Reciter: Mesum Abbas 👉Poet: Salman Azmi - (Additional Stanzas by Azlan Azmi) 👉Composition: Composition: Raza Shah 👉Special Thanks: Safdar Kaleem Audio Credits: 👉Chorus: Khan Brothers 👉Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI) 👉Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI) Video Credits: 👉Director: Safdar Kaleem 👉Editor: Safdar Kaleem (The Focus Studio) 👉SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics) 👉 Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND) 👉 English Translation: Ahmed Virani (USA) 👉Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA) LYRICS: haye akbar haye akbar haye haye akbar haye haye akbar hayee.... maqtal mein jab gira, shah e dee'n ka jawa'n pisar are ghash kha ke gir pare, shah e laulak khaak par are sadma wo tha ke kuch unhe, ata na tha nazar manzar bata rahi hai, riwayaat mautbar hayee.. apne pisar ki laash pe shabbir gir gaye shaana hila ke laash ka, ye puchne lage tere jaisa hi uska seena hai mere akbar ko.. hayee.... mere akbar ko kahi'n dekha hai tere jaisa hi uska seena hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 1). kaise tujhko lagi hai ye barchhi kya khabar ye tere padar ko mili haye...main to be maut mar gaya hota mere akbar ko jo lagi hoti jaane kyu dil mera taraapta hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 2). hayee..mujhko maloom hai wo zakhmi hai fauj ye uske khoo'n ki piyasi hai tere seene pe jo lahoo hai laga us lahoo main to khusboo uski hai wo yaqeenan yahan se guzra hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 3). tu nahi usko janta hai agar mujhko pura yaqeen hai is par usko jo dekhe bhoolta hi nahi is qadar wo hasee'n hai mera pisar chaudhawe chand jaisa chehra hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 4). maine usko kaha tha aye beta mujhko mur mur ke dekhte jana haan magar is tarah gaya hai wo phir palat kar kabhi nahi aya maine har simt usko dhoondha hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 5). haye.. jab wo zee'n se zamee'n pe aya hai aakhri baar usko dekha hai haye binayi ja chuki meri ab mera din mein haal aisa hai mere charo'n taraf andhera hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 6). main jo awaz doon wo aayega haan..aa ke mujhko gale lagayega par main awaz yun nahi deta apne zakhmo'n ko wo chupayega hai bahadur ali ka poota hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 7). aur ye soch kar bhi main chup hoon wo na dekhe jo larkhara ke giroo'n haan..apni quwat ko kar raha hoon jama chal ke pairo'n pe main wahan pauhcho'n main jo tarpoon to wo tarapta hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 8). usne tujhko yahan nahi dekha haan..chhor kar warna wo nahi jata tere zakhmo'n pe rakhta wo marham tujhko pani mera pisar deta hayee lekin wo khud bhi piyasa hai mere akbar ko kahi'n dekha hai 9). bola salman azmi wo jawa'n main hi akbar hoon mere baba jaan na hi gehra hai itna zakhm e jigar na hi sadma koi hai zakhm e sina jitna sadma tumhara kehna hai mere akbar ko kahi'n dekha hai tere jaisa hi uska seena hai mere akbar ko kahi'n dekha hai mere akbar ko kahi'n dekha hai Muharram 2022/1444 | New Nohay 2022 | MERE AKBAR KO KAHIN DEKHA HAI 2022 video by Mesum Abbas reciting (Official Video) © 2022 Mesum Abbas