У нас вы можете посмотреть бесплатно Fatah O Nusrat Kiya Hay? | Lowg Kyun Allah K Deen Mai Fog-der-Foj Dakhil Huwey? | Surah Al-Nasar или скачать в максимальном доступном качестве, которое было загружено на ютуб. Для скачивания выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса savevideohd.ru
Jab agayi Allah ki madad aur nusrat aur naseeb ho gayi fatah aur tu dekh raha hai ke log Allah ke deen mein fauj aur fauj daakhil ho rahe hain. Ab is rivayati tarjume ko parhne ke baad woh baat samajh mein nahi aati jo in do jumlon mein Allah Ta'ala ne farmaayi hai. Yehi Quran ka mo'jza hai ke ek ya do saada jumlon mein bohot badi daastan samo deta hai, jise aap aasani se decode kar sakte hain basharte ke poore Quran par aapki ek munaasib nazar ho. To aayat ka matlab ye hai ke Aye Nabi! Tum aur tumhari jamaat jo itne barson se Quran ki tarbiyat aur mehnat se, qurbani aur jafa-sha'ari se Quran ke is nizam ko is chhote se khitte par naafiz karne ke liye musalsal kaam karte chale aa rahe ho. Yahan tak ke tumne ek aisi jamaat tayar kar li hai jisne apni zindagi ka poora chalan Quran ke mutabiq dhaal liya hai aur musalsal islaahat ke amal se guzarkar unki hayaat ka har pehlu Quran ke targeted level par pahunch gaya hai. Aur yun Allah ke qanoon ka Qurani hissa mukammal taur par madad ke liye baroe-kar aa chuka hai. Aur iska natija ye nikla ke Allah ke qanoon ka woh hissa jis se ye duniya aur poori kainaat chal rahi hai, woh bhi Aye Nabi! Tum aur tumhari jamaat ke ishaaron ke mutabiq kaam kar raha hai. Aur Allah ke qanoon ka ek mukammal package hai jo tumhari madad aur nusrat ke taur par tumhare saath mil kar shana ba shana is duniya mein kaam karna shuru ho gaya hai. Aur iska saboot ye hai ke jo hairat-angez jannat-nazir muashra tumne Arab ke is chhote se khitte par Quran ke in usoolon ko baroe-kar la kar qaim kiya hai, jisme aman hai, khushhali hai, khushi hai, barkat hai, taqat hai, iqtidar hai, har fard ko uske huqooq ki mukammal farahami hai, to ise dekh kar duniya ke log jin tak ye khabar pohanchi hai woh lapak-lapak kar Allah ke is deen ke jhande ke neeche jama hone ke liye bhaage chale aa rahe hain. Hain log joq dar joq aur fauj dar fauj apna purana nizam-e-zindagi tark karke Quran ke qawaneen ke mutabiq apni zindagi ko apnane par aamda ho chuke hain, Allah ke deen mein baqaida daakhil ho chuke hain. To ye hai saara manzar jo Allah Ta'ala ne upar ke do jumlon mein pro kar rakh diya hai, samo kar rakh diya. Iske baad ye kaha ke ab jo stage aayi hai ye tumhari zindagi aur tumhare program ki naazuk tareen stage hai. Is moqa par zara si ghalti saari mehnat ko akarat kar sakti hai. Yahan par tumhare samne aur tumhari jamaat ke samne pehle se zyada bade challenges aa gaye hain. Ye challenge hai aman aur khushhali ke mil jane ka, ye challenge hai khushi aur asoodgi hasil ho jane ka, ye challenge hai taqat aur iqtidar ka. Inme se koi bhi cheez agar nashe ban kar tumhari jamaat par chha gayi to inse ghaltiyan aur kotahiyan sarzad ho sakti hain. Chunancha is point par tumhe pehle se zyada hoshiyar ho kar poori taqat se, poori salahiyat se, poori jaan maar kar kaam karna hai. Fasabbih bihamdi rabbik: Matlab ye ke Quran mein jo usool, qawaneen aur techniques di gayi hain jin par behtareen amal-dari se be-misaal natije nikle hain, dost aur dushman sab ki zuban par tere Rab ki hamd aur tasbeeh ke kalme be-ikhtiyar jari ho gaye hain, unhi usool-o-qawaneen aur techniques par aur zyada taqat se, salahiyat se, aur zyada himmat aur hosle se, aur zyada tawajjo ke sath musalsal amal karte chale jao. Sabah ka matlab hai poori salahiyat aur taqat se kaam karna aur apne hadaf ki taraf musalsal barhte chale jaana. Jabke sabbah Arabi mein tairaak ko kehte hain jo apne jism ki poori taqat, salahiyat aur lachak ke sath paani mein apna wujood barqarar rakhta hai aur apni marzi ki simt mein musalsal aage barhta chala jata hai. Aur yehi baat Allah Ta'ala is jumle mein farma raha hai ke ye ruk jane ka, rest karne ka aur fatah-o-kamrani ki khushi manane ka waqt nahi hai, balke aur zyada mehnat aur salahiyat ke sath musalsal kaam karne ki stage hai. Wastaghfir: Ke aye Nabi! Apne Parwardigar se protection maango, hifazat maango taake in zyada bade challenges se nimatte hue koi ghalti tumse na ho jaye. Ghafara Arabi zuban mein hifazat karne ko kehte hain aur istighfar hifazat maangne ko kaha jata hai. Matlab ke isi Quran mein kaam karne ke usool-o-qawaneen ke sath zabardast hifazat ki mukammal fielding lagi hui hai. Isko bhi samne rakh kar kaam karo. Jab koi jamaat Allah ke qawaneen ke sath mukammal taur par hum-aahang hokar aur tamaam tar precautionary measures lekar kaam karti hai to Inna Kana Tawwaba: Allah guarantee deta hai ke aise mein agar kisi ghalti se jamaat ka qadam ghalat simt mein pad jaye to Khuda apni taqat aur ikhtiyar se isi hifazati qawaneen ke tehat jamaat ke qadam wapas durust simt mein palta deta hai. Is jumle mein lafz Inna isi guarantee ki taraf ishara karta hai. To ye hai matlab Surah An-Nasr ki ayat ka. #quran #quranverses #quranrecitation