У нас вы можете посмотреть бесплатно Abu Turab Ali | Muhammad Samie | Ali Ali Maula Ya Ali Ali | Official Video или скачать в максимальном доступном качестве, которое было загружено на ютуб. Для скачивания выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
CREDITS: Singer, Poet & Composer: Muhammad Samie Lyrical Arrangement: Muhammad Samie Video Director: Muhammad Samie Music Producer: J Ali Music Directors: Muhammad Samie & J Ali Cinematography & Post: Suleman Shah Note: Detailed credits are added at the end of the video. ============ LYRICS: Saqi-e-Mann Abu Turab Ali Kul-e-eeman Ain Qur’an Fakhr-e-Mahtab Ali Saqi-e-Mann Abu Turab Ali Kahan insan ko samajh tera maqam aata hai Tujh pe Haider mere khaliq ka salam aata hai Pehli saf mein na sahi aakhri saf mein hi sahi Tere rindon mein kahin mera bhi naam aata hai Daftar-e-haq jo khangale to yeh maloom hua Ba’d-e-Ahmad mere Haidar ka hi naam aata hai Bistar-e-khatm-e-Risaalat nahi rehta khali Jab nabuwat kahin jati hai imam aata hai Kon laye tera jawab Ali Saqi-e-Mann Abu Turab Ali Rind tera teri rindi pe kyun na naaz kare? Jaam tera to zamane se be-niyaz kare Teri hi zaat-e-mubeen hai ke jis ka naam faqat Kharay mein aur munafiq mein imtiaz kare Ye un ke khoon ka mas’ala hai warna kyun koi? Mere Ali ki wilayat pe etiraaz kare Ruku mein aaye sawali to sun Ada-e-Ali Ke wo zakat ada bar-sar-e-namaz kare Hai misali tera shabab Ali Saqi-e-Mann Abu Turab Ali Teri dargah ki aseeri se sukhan-war bhi hue Meesam-o-Qambar-o-Salman-o-Abuzar bhi hue Ghaus-o-Abdal-o-Qutab Khwaja Qalandar bhi hue Hadd to ye hai keh tumhi se wo bahattar bhi hue Jaam-e-jam lakh fana Haidari paimane mein Aatish-e-haq hai ayan Safdari parwane mein Tere maston ko Ali kab hai gharaz duniya se? Ik alag duniya hai basti tere mastane mein Hai Wilayat ka aftab Ali Saqi-e-Mann Abu Turab Ali Ali Ali Maula Ya Ali Ali Maula [chorus] Dildar-e-Kibriya-o-Muhammad ho tum Ali Ashaab-e-Mustafa ke bhi Maula ho tum Ali Mushkil mein kyun Ali ko pukare na zamana? Khyber mein Mustafa ne pukara hai Ya Ali Hijrat ki shab Ali ne guzaari hai is tarah Duniya samajh na paai Muhammad hain ya Ali Ejaz-e-Mustafa mein shariyat khadi rahi Darwaza-e-Zahra pe Risaalat khadi rahi Dosh-e-Nabi pe sajde mein aa kar charhe Hussain Bethe rahe Hussain ibadat khadi rahi Maula-e-dojahan ko hukumat se kya gharaz Thokar mein jis ke hashmat-o-sarwat padi rahi Ta Surat-o paiwand-e jahan bood Ali bood Ta naqsh-e zamin bud o zaman bood Ali bood Shahi ke wali bood o wasi bood Ali bood Sultan-e sakha-o karam-o jood Ali bood An shah-e-sar-afraz ke andar shab-e-meraj Ba Ahmed-e-mukhtar yak-e-bood ali bood An Lahmuka lahmi bishinau ta ke bidani An yarr ke-oo nafs-e-Nabi bood Ali bood Ali Shah e Haider Imaman kabira Ke baad az Nabi shud basheeran nazira Ali ibn-e-am-e-Muhammad Rasool ast Choon Musa akhi guft Haroon wazira Ali auliya ra daleel ast bar haq Ali ambiya ra wali-an-naseera Muhibb-e-Ali jannati baad-e-murdan Buwad aiman az khauf e munkir nakira Zahe izzo jalale bu-turab-e-fakhr-e-insane Ali-e-Murtaza Mushkil kusha-e-sher-e-yazdane Wali-e-haq Wasi-e-Mustafa darya-e-faizane Imam-e-do-jahan-e-qibla-e-deene wa imaane Ameer-e-kishwar-e-faqr-e-shah-e-iqleem-e-irfane Khuda goye Khuda beene Khuda daane Khuda shane Payambar bar sar-e-mimbar nashist-o-khvaand maulayash Ke ta maulayash ra bashad andar khalq burahane Han qismat mein likhi hai us ki zalalat Jo rakta hai dil mein Ali se adawat Ali se adawat Khuda se baghawat Kase ra mayassar na shud een sa’adat Ba ka’ba wiladat ba masjid shahdat Atta hai lab se nikalna ke Haideri hun mein Tere amal se na jhalke Ali to kya hasil Milen ge naa’ra-figan bahut, “Hum Hussaini hain” Yazid-e-waqt pachhaada nahin to kya hasil Ghurur-e-ilm se labraiz Mufti-o-mulla Teri nigah mein panjtan nahin to kya hasil Kahan ki teri ibadat kahan ke sajday hain Basi na dil mein Ali ki vila to kya hasil Kya ho gaya hai haal-e-musalman kya kahoon Hain pur-malal Ya Ali ahwal kya kahoon Zahir hai paraganda to batin bhi siyah hai Kehne ko magar ummat-e-mehboob-e-Khuda hai Ehsas ki dawlat hai na kuch ghairat-e-eeman Na barq hai seenon mein na himmat na vaza hai Taajir hain zameeron ke sar-e-aam musalmaan Haq baat kahoon in se to murda bhi bhala hai Na sift-e-khafi in mein na ausaf-e-jali hain Bolen ge to aise ke zamane ke wali hain Be-khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar hai Khali hain amal se magar auron ki fikr hai Afkaar jawanon ke zaboon-haal hain Maula Shaheen ki dosheeza-e-maghrib pe nazar hai Hai Dukhtar-e-Islam-e-mubeen nafs ki laundi Afsos ke wo zeenat-e-har raah-guzar hai Zahid ka zohd hai to dikhane ke liye hai Mufti ka hai fatwa to kamane ke liye hai Lagu hain kahan us pe ye ahkam-e-shariyat Naseh ki nasihat to zamane ke liye hai Haider si sakhawat na alamdar si jurrat Hasnain si shaukat hai, na akbar si basarat Abid si ibadat hai, Na Jafar si sadaqat Zahra si taharat hai na zainab si balaghat Thukra ke hum ne qaul-e-Nabi zee-maqam ko Thama hai hum ne Ya Ali har khas-o-aam ko Chorha Ali tujhe teri itrat se katt gaye Phir yun hua ke hum to tehattar mein batt gaye Dushwaar hai is halat-e-bad-haal mein rehna Ya Haider-o-Safdar ye Khuda Pak se kehna Parwardgar waqt-e-zahoor-e-imam a.s. hai Pasti mein deen-e-AhmAd-e-Khair-ul-inam hai