У нас вы можете посмотреть бесплатно Extradural Spinal Tumors или скачать в максимальном доступном качестве, видео которое было загружено на ютуб. Для загрузки выберите вариант из формы ниже:
Если кнопки скачивания не
загрузились
НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если возникают проблемы со скачиванием видео, пожалуйста напишите в поддержку по адресу внизу
страницы.
Спасибо за использование сервиса ClipSaver.ru
Socho zara.... agar aaj se 6 mahine baad aap ya aap ka koi apna chal na sakay.... sirf is liye kyun ke kisi ne kaha tha, “Dawa kha lo, theek ho jaye ga.” Yeh koi kahani nahi hai. Yeh Pakistan ki roz ki reality hai. Log kamar ke dard ko ignore kar dete hain. Pair mein kamzori aaye to kehte hain “thakan hai”. MRI mein kuch nikle to kisi non-specialist ke paas chale jaate hain... aur phir mahine guzar jaate hain — sirf painkillers aur steroids ke saath. Aur jab asli masla samajh aata hai...jab tangon ka zor khatam ho chuka hota hai, jab peshab aur motion ka control chala jata hai, jab zindagi wheelchair par aa jaati hai... tab koi dawa, koi dua, koi surgery us spinal cord ko wapas zinda nahi kar sakti. Agar aap yeh video dekh rahe hain, toh ya to aap khud back pain, weakness ya numbness se guzar rahe hain, ya phir aap ke ghar mein koi hai jisay yeh kaha ja raha hai ke. “Tumhein tumor nahi, sirf nerve ka masla hai.” Aur sach yeh hai Pakistan mein zyada tar extradural spinal cord tumors cancer hotay hain. Aur in ka sab se khatarnak hissa yeh hai ke yeh dard se zyada khamoshi se nuksaan karte hain. Is video mein main aap ko woh baatain bataunga jo aksar logon ko tab pata chalti hain jab sab kuch khatam ho chuka hota hai. Kaun se symptoms red flag hain, kab dawa ka intezar jurm ban jata hai, aur kyun ghalat jaga paisa lagana sirf paisa nahi poori zindagi le leta hai. Agar aap ya aap ka koi apna spine ya MRI ke maslay se guzra hai toh yeh video skip karna shayad aap ka sab se mehnga faisla ho. Chaliye... baat seedhi aur sach se shuru karte hain.